'arzu' jaane bhi kaise koi rutba man ka ru-e-jannat se hasin lagta hai talwa man ka khud to bhuki hai khilati hai magar bachchon ko main to qurban gaya dekh ke faqa man ka bhul baitha wo jawan ho ke sabhi ehsanat jo kabhi odh ke sota tha dupatta man ka sari uljhan meri pal bhar mein sulajh jati hai samne jab mere aa jata hai chehra man ka din mein tare nazar aa jate hain un ko aksar 'arzu' jin ke saron par nahin saya man ka