jab sulagti hai shab-e-gham meri tanhai se

jab sulagti hai shab-e-gham meri tanhai se
risne lagta hai lahu chashm-e-tamannai se

us ke is tarz-e-mohabbat pe hansi aati hai
pyar bhi karta hai darta bhi hai ruswai se

zalzala sa koi aata hai zamin-e-dil par
ai meri jaan ke dushman teri angdai se

zehn-o-dil mein kahin laila to nahin hai lekin
qais waqif hai meri fitrat-e-sahrai se

dil bhi mayus-e-mohabbat ki tarah tut gaya
ab guzarna hai use rah-e-shikastai se

kat gai hijr ki zanjir faqat ek pal mein
mere mahbub teri chashm-e-karishmai se

aisa lagta hai ki takra ke chali aati hai
meri har ek sada arsh ki unchai se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close