aarzu jine ki thi imkan jine ka na tha khwahishen thin saf-ba-saf saman jine ka na tha qarz tha tera so jite-ji tujhe lauta diya zindagi warna mujhe arman jine ka na tha dosti zahrab se ki ranj-o-gham se ki nibah warna ye mahaul meri jaan jine ka na tha zindagi tu chhod mera sath main be-zar hun mera tera to koi paiman jine ka na tha main ne hansne ki aziyyat jhel li roya nahin ye saliqa bhi koi aasan jine ka na tha kuchh teri rahmat pe takiya kuchh gunahon ki kashish warna us duniya mein to insan jine ka na tha zehn ki aawargi minnat-kash-e-duniya na thi zindagi ka bhi 'mujibi' dhyan jine ka na tha