khinch kar yun le chali wahshat bayaban ki taraf laen jaise tifl-e-bad-khu ko dabistan ki taraf faiz wahshat ka ada-e-shukr jab wajib hua sar jhukaya hum ne mehrab-e-gareban ki taraf hasil-e-josh-e-junun hai matam-e-hosh-o-khirad khak udate jate hain wahshi bayaban ki taraf aql ke tegh-e-junun-e-tez se kuche kate kaun aae jada-e-chaak-e-gareban ki taraf kar chuka josh-e-junun jins-e-khirad par hath saf laut ab aati hai bazar-e-gareban ki taraf ishq ke maktab mein jab aaya paye dars-e-junun pahle hi ungli uthi nun-e-gareban ki taraf mail-e-zewar hua jab wo hasin-e-jama-zeb chand aaya charkh se tauq-e-gareban ki taraf hosh mein aate hain diwane gai fasl-e-bahaar dasht-e-wahshat chhup rahe pusht-e-gareban ki taraf nakhun-e-gham ka nishan dil par hai misl-e-mah-e-nau ungliyan uthti hain us zakhm-e-numayan ki taraf jab kisi aashiq ne kuchh haal-e-pareshani kaha hans diye munh pher kar zulf-e-pareshan ki taraf zoaf mein ji khol kar rone ki hasrat hai mujhe dekhta hai yas se har ashk daman ki taraf shama ke shoale sitam karte hain misl-e-barq-e-tur dekhta hun jab 'nazar' bazm-e-hasinan ki taraf