aarzu le ke koi ghar se nikalte kyun ho panw julte hain to phir aag pe chalte kyun ho shohraten sab ke muqaddar mein kahan hoti hain tum ye har roz naya bhes badalte kyun ho yun to tum aur bhi mashkuk nazar aaoge baat karte hue ruk ruk ke sambhle kyun ho han! tumhein jurm ka ehsas satata hoga warna yun raaton ko uth uth ke tahalte kyun ho aur bazar se 'ghaalib' ki tarah le aao dil agar tut gaya hai to machalte kyun ho tum ne pahle kabhi is baat ko socha hota ped ki chhanw mein baithe ho to jalte kyun ho