zindagi dast-e-tah-e-sang rahi hai barson ye zamin hum pe bahut tang rahi hai barson tum ko pane ke liye tum ko bhulane ke liye dil mein aur aql mein ek jang rahi hai barson apne honton ki dahakti hui surkhi bhar do dastan ishq ki be-rang rahi hai barson dil ne ek chashm-e-zadan mein hi kiya hai wo kaam jis pe duniya-e-khirad dang rahi hai barson kis ko malum nahin waqt ke dil ki dhadkan meri hamraaz-o-ham-ahang rahi hai barson saf tarikh ye kahti hai ki mansuri se muzmahil satwat-e-aurang rahi hai barson meri hi aabla-pai ki badaulat 'akhtar' rah-guzar un ki shafaq-rang rahi hai barson