aarzu maut ka saman hui jati hai zist mushkil thi jo aasan hui jati hai maut se meri jo pahchan hui jati hai zindagi aur bhi aasan hui jati hai zauq-e-nazara se khud jis ne nawaza tha mujhe wo nazar mujh se ab anjaan hui jati hai jab se gulshan mein sajaya hai nasheman hum ne barq kuchh aur pareshan hui jati hai shaeri is qadar arzan hai ba-faiz-e-ghurbat har ghazal hasil-e-diwan hui jati hai