aate hi yahan choT nai khai hai aksar

aate hi yahan chot nai khai hai aksar
mahfil mein teri main ne saza pai hai aksar

uljha hun to ai dost ulajhta hi gaya hun
gutthi gham-e-dauran ki bhi suljhai hai aksar

jazbaat ka tufan mere dil mein utha hai
wo sans jo dhadkan ke qarin aai hai aksar

aaya na yaqin us ko kisi baat pe meri
samjhane ki jo baat thi samjhai hai aksar

kanta hamein samjha kiye go ahl-e-gulistan
hum ne bhi bahaaron mein jagah pai hai aksar

dekha hai jab is chand ko zulfon ki ghata mein
sine mein mere barq si lahrai hai aksar

nadan hain mohabbat mein jo diwane ko samjhaen
jo baat mere dil ne bhi samjhai hai aksar

takid tumhaari hai koi tum ko na chhede
hum ne bhi 'kamal' baat ye dohrai hai aksar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close