aarzu rakhna mohabbat mein baDa mazmum hai

aarzu rakhna mohabbat mein bada mazmum hai
sun ki tark-e-arzu hi ishq ka mafhum hai

un nigahon ke tasadum se jo chingari uthe
ishq us ka nam hai ye ishq ka mafhum hai

ab to ye arman hai arman hi paida na hon
go samajhta hun ki ye ummid bhi mauhum hai

wo khade hain wo tasawwur ab tujhe main kya kahun
aankh mahw-e-did kar did se mahrum hai

ishq phir mahrumiyan nakaamiyan barbaadiyan
meri qismat mein jo likkha hai mujhe malum hai

main tujhi ko dekhta hun jalwa-farma har taraf
ma-siwa tere mere nazdik sab madum hai

zindagi ko maut hai jab zindagi khud ho fareb
maut bhi goya fareb-e-hasti-e-mauhum hai

ishq mein 'talib' mata-e-hosh kho kar khush to ho
us ka jo anjam hai wo bhi tumhein malum hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close