zabt ki had se guzar kar khar to hona hi tha shiddat-e-gham ka magar izhaar to hona hi tha aaine kab tak salamat rahte shahr-e-sang mein ek din patthar koi bedar to hona hi tha khak mein milna hi tha ek din ghurur-e-zindagi ret ki diwar ko mismar to hona hi tha kis tarah karte nazar-andaz apne aap ko ek na ek din zindagi se pyar to hona hi tha koi aamada na tha rahen badalne ke liye rasta millat ka phir dushwar to hona hi tha jis taraf dekha udhar apne hi the khanjar-ba-kaf phir mere isar ko talwar to hona hi tha khwahishen be-rabt thin be-zauq tha dast-e-talab aisi hajat ka sila inkar to hona hi tha ek din kahna hi tha ek dusre ko alwidaa aakhirash 'salim' juda ek bar to hona hi tha