aarzu sulagti hai ho ke mas hawaon se aag si barasti hai sawani ghataon se bebasi-e-adam ka gham to khair sab ko hai kaun bhik mangega rahm ke khudaon se na-murad jina tha na-murad jite hain kya gila kare koi apne aashnaon se gulsitan ki zakhm-e-dil kahkashan ki ashk-e-gham ji larazne lagta hai ab hasin fazaon se hadson ki basti mein husn bhi pasheman hai wo nazar churaate hain aaj khud jafaon se ab na dil zaminon ka aur na aasmanon ka kar raha hai sargoshi ajnabi khalaon se intizar ka aalam kya bataun ai parwaz chaunk chaunk uthta hun sans ki sadaon se