chhajje hain saeban hain aage baDhe hue

chhajje hain saeban hain aage badhe hue
galiyon ke sab makan hain aage badhe hue

pasmandgi awam ke pichhe padi hui
do-chaar khandan hain aage badhe hue

rasta to ruk gaya hai sar-e-manzil-e-guman
qadmon ke kuchh nishan hain aage badhe hue

ghera hua hai chaaron taraf se zamin ko
had se ye aasman hain aage badhe hue

khud chal ke aa gaya hai nishana qarib-tar
hairat se did-ban hain aage badhe hue

pichhe kaman-dar pareshan hai bahut
paltan ke kuchh jawan hain aage badhe hue

aaya hun doston se mulaqat ke liye
kyon tir aur kaman hain aage badhe hue

aata nahin shikar shikari ke samne
jangal se kuchh machan hain aage badhe hue

mitti ke sab zuruf hain pichhe rakhe hue
shishe ke martaban hain aage badhe hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close