aarzu thi to iztirab bhi tha nind gahri thi aur khwab bhi tha ek bagula tha ret ka pichhe dasht mein samne sarab bhi tha meri qismat ke sard hathon mein mere hisse ka kuchh azab bhi tha ham-safar is safar mein tu hi bata kya sawalon ka kuchh jawab bhi tha bazm mein lut rahe the mina-o-jam aur aadat ka wo kharab bhi tha sari duniya ka intikhab tha wo aur wo mera intikhab bhi tha tha kabhi waqt jab hamara dil ek mahakta hua gulab bhi tha khoi khoi si us ki aankhon mein mujh ko pane ka ek khwab bhi tha zindagi thi khuli kitab meri aur wo sahib-e-kitab bhi tha