andhera raat ka is waqt budha hone wala hai dariche khol kar dekho sawera hone wala hai bikhera hai falak ne zafrani rang dharti par darakhton ka har ek patta sunahra hone wala hai wo apni dastaras se ab mujhe aazad kar dega amir-e-shahr ke hathon ujala hone wala hai haweli ka har ek gosha gulabon se mahakta hai kisi mazlum ki aahon ka sauda hone wala hai parinde ghonslon ki lat mein jo sahme baithe hain kisi tufan ki aamad hai andhera hone wala hai wo meri shakhsiyat par ab karega tabsira shayad mere afkar ke rangon ka charcha hone wala hai badan mein khun ki ek bund bhi baqi nahin 'arshad' meri saf mein raqibon ka izafa hone wala hai