aarzuen jal gain shauq-e-farawan jal gaya bujh gaya dil zindagi ka saz-o-saman jal gaya mausam-e-gul tha ki thi barq-e-khizan zer-e-naqab phul hansne bhi na pae the gulistan jal gaya shauq-e-manzil mein junun ki garm-raftari na puchh rah ke kanton ki kya hasti bayaban jal gaya jhum kar su-e-chaman aaya to kya barsa to kya aashiyan to kab ka ai abr-e-bahaaran jal gaya hashr ke din rahmat-e-haq ne liya aaghosh mein zauq-e-isyan par mere zahid ka iman jal gaya dekh 'qaisar' ye hai gulshan mein maal-e-fasl-e-gul ghunche ghunche ka gulistan mein gareban jal gaya