aarzuen sabhi shabab ke sath sari raunaq dil-e-kharab ke sath kis ko hai tab husn-e-jaanan ki kaun chalta hai aaftab ke sath us ko ummid-e-sim-o-zar hai aur main faqat sheron ki kitab ke sath mujh se bichhdo to sochna ye bhi khar bhi hote hain gulab ke sath ruh ke sath zist ka rishta jaise tufan rahe habab ke sath kuchh na puchho shabab ka aalam muddaton hum chale sarab ke sath mujh ko dil se nahin gila koi khub guzri dil-e-kharab ke sath