zindagi jaisi bhi haalat mein jahan guzri hai tere hamrah na hone se garan guzri hai aag bhadkegi gulistan mein dhuan phailega phir nasheman se tere barq-e-tapan guzri hai dil ki gahrai ka andaza tujhe kya hoga kab tere sar se koi mauj-e-rawan guzri hai uf ye ayyam-e-zaifi ke sisakte lamhe hae wo daur ki jab umr-e-jawan guzri hai koi batla de 'asir' un ko unhi ki galiyan puchhte hain ki teri umr kahan guzri hai