aarzuon ke dhadakte shahr jal kar rah gae kaise kaise hashr khamoshi mein dhal kar rah gae khatir-e-khasta ka ab koi nahin pursan-e-haal kitne dildari ke unwan the badal kar rah gae ab kahan ahd-e-wafa ki pasdari ab kahan jo haqaeq the wo afsanon mein dhal kar rah gae ab kahan wo sahilon se sair-e-tufan-e-hayat ab to wo sahil talatum mein badal kar rah gae hasil-e-gham ya gham-e-hasil mayassar kuchh nahin zindagani ke sabhi asbab jal kar rah gae hae wo gham jo bayan ki had mein aa sakte na the qaid-o-ashk-o-ah se aage nikal kar rah gae al-aman haalat ki mahshar-khirami al-aman dagmagae is qadar goya sambhal kar rah gae rah gaya hun ek main tanha hujum-e-barq mein ham-nawa sare chaman ke sath jal kar rah gae ban to sakte the wo tufan-e-qayamat-khez bhi jo dhadakte walwale ashkon mein dhal kar rah gae ek wo hain dalte hain mah-o-anjum par kamand aur ek hum hain ki khwabon se bahal kar rah gae jin ko hasil tha zamane mein sukun-e-iztirab apne hi ehsas ke shoalon mein jal kar rah gae jin ki khamoshi thi mashhur-e-zamana ai 'salam' aaj un ke munh se bhi shikwe nikal kar rah gae