aawara bhatakta raha paigham kisi ka maktub kisi aur ka tha nam kisi ka hai ek hi lamha jo kahin wasl kahin hijr taklif kisi ke liye aaram kisi ka kuchh logon ko rukhsat bhi kiya karti hai zalim rasta bhi taka karti hai ye sham kisi ka ek qahr hua karti hai ye mahfil-e-mai hai bhi jab hont kisi aur ka ho jam kisi ka muddat hui dube hue khwabon ka safina maujon pe chamakta hai magar nam kisi ka