aas dil mein tere aane ki lagae rakkhun ek diya roz sar-e-sham jalae rakkhun chhuta jae hai mere hath se ab daman-e-zabt kab tak ashkon ko tabassum mein chhupae rakkhun bas isi tarah meri umr basar ho jae main tujhe yaad rakhun khud ko bhulae rakkhun ek na ek din to ye sar tan se juda hona hai kyon na phir sar ko hatheli pe uthae rakkhun mujh ko dar hai ki na lag jae tujhe meri nazar apni aankhen tere chehre se hatae rakkhun mujh ko malum hai anjam dua ka lekin izn-e-rahmat hai ki main hath uthae rakkhun ai 'aziz' aane lage chaaron taraf se patthar shisha-e-dil ko kahan tak main bachae rakkhun