zamin aankhon ko mal rahi thi hawa ka koi nishan nahin tha tamam samten sulag rahi thin magar kahin bhi dhuan nahin tha charagh ki thartharaati lau mein har os-qatre mein har kiran mein tumhaari aankhen kahan nahin thin tumhaara chehra kahan nahin tha dayar-e-hijran ki wahshaton ka tilism tuta to main ne jaana har ek dastak hawaon mein thi makin nahin the makan nahin tha wo ek lamha tha sarkhushi ka fusun tha daryaft ke safar ka jo reg-e-jaan mein chamak raha tha sitara-e-asman nahin tha wo kaisa mausam tha zard shakhon se sabz belen lipat rahi thin wo sabz belen ki jin ki aankhon mein koi khauf-e-khizan nahin tha yugon ke rath par sawar gahri khamoshiyon ne bataya mujh ko ki tum se pahle bhi aur pahle bhi bas yaqin tha guman nahin tha usi zamin ki tahon mein bahta tha mithe pani ka ek chashma sarab-zadon ki tishnagi ko magar kuchh is ka guman nahin tha