aas mein kate bis baras aur yas mein kate bis baras kuchh na puchho hum ne kaise kate hain chaalis baras jis ne hum ko ishq sikhaya jis se samjhe sare gur us ki umr thi sola satrah apni thi ikkis baras aate jate har mausam mein us ka jadu qaem hai bis baras se dekh raha hun lagti hai unnis baras mera jism bhi sukh chala hai nil ke sahil jaisa khet mulk-e-suleman par tu lahra baadal bin bilqis baras aakhir shab mein sare momin resha resha bhig gae zahid jitne khushk bache hain un pe tu iblis baras hum ko bichhde kitne guzre sal bata dun ai kashmir tere sola mere sola hote hain battis baras