aasan to na tha dhup mein sahra ka safar kuchh ba-faiz magar milte rahe mujh ko shajar kuchh pursish na karo mujh se mara haal na puchho ukhda sa zara rahta hai ji mera idhar kuchh sailab na ho to na ho dil mein bhi talatum pani to rahe dub ke marne ko magar kuchh itna hi ghani hai jo samundar to kaho wo sahil pe baha lae kabhi lal-o-guhar kuchh nazil hai jo ye ujla sa andhera sa faza par mumkin hai ki is shab mein ho paiwast sahar kuchh aawaz bhi lahrai thi halchal bhi hui thi ek pal ko to kuchh ubhra tha aaya tha nazar kuchh shanon ka ye kham tujh mein nai baat hai 'saurabh' aaina kabhi dekho rakho apni khabar kuchh