hichkiyan leta hua duniya se diwana chala jaan-kani ke waqt bhi tera hi afsana chala main junun-e-ishq mein jaane kahan tak aa gaya shahr ke har mod se patthar judagana chala khun ki gardish mein shamil ho gai dil ki umang ku-e-qatil ki taraf be-ikhtiyarana chala mausam-e-gul zard hai khun-e-tamanna ke baghair naqd-e-jaan le kar chaman mein sarfaroshana chala maut ke sae mein 'tariq' aarzu ki dhup thi karobar-e-zindagi be-e'tibarana chala