aaseb-sifat ye meri tanhai ajab hai

aaseb-sifat ye meri tanhai ajab hai
har samt teri yaad ki shahnai ajab hai

ek bichhde shanasa se mulaqat ke ba-wasf
bikhre hue lamhon ki shakebai ajab hai

ab silsila-e-ranj-o-mehan tut bhi jae
is bar to kuchh tarz-e-pazirai ajab hai

ab mujh pe khula apne dar-o-baam ka afsun
yun hai ki mere ghar ki ye tanhai ajab hai

suraj se utarte hain mere har-bun-e-mu par
aankhen bhi rakhun band to binai ajab hai

har din sitam-ijad hai har raat siyah-fam
yarab ye teri anjuman-arai ajab hai

pighla hua sona thi jo diwar-o-saqaf par
wo dhup ghadi bhar mein hi kajlai ajab hai

nas nas mein phisalta hai tere qurb ka nashsha
har mauja-e-khun-nab ki gahrai ajab hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close