hum kya jaanen qissa kya hai hum Thahre diwane log

hum kya jaanen qissa kya hai hum thahre diwane log
us basti ke bazaron mein roz kahen afsane log

yaadon se bachna mushkil hai un ko kaise samjhaen
hijr ke is sahra tak hum ko aate hain samjhane log

kaun ye jaane diwane par kaisi sakht guzarti hai
aapas mein kuchh kah kar hanste hain jaane pahchane log

phir sahra se dar lagta hai phir shahron ki yaad aai
phir shayad aane wale hain zanjiren pahnane log

hum to dil ki virani bhi dikhlate sharmate hain
hum ko dikhlane aate hain zehnon ke virane log

us mahfil mein pyas ki izzat karne wala hoga kaun
jis mahfil mein tod rahe hon aaankhon se paimane log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close