aashiq-e-gesu-o-qad tere gunahgar hain sab mustahiq dar ke phansi ke saza-war hain sab pas atibba ko hai mayus parastar hain sab tere bimar-e-mohabbat ke bad-asar hain sab dil-dahi ke bhi nahin tarz se waqif asla ye hasinan-e-jahan nam ko dildar hain sab ab ye surat hai mohabbat mein tumhaari ai jaan apne begane meri shakl se bezar hain sab zulm-e-sayyaad saha jae yakayak kyunkar hum asiran-e-qafas taza giraftar hain sab husn yakta-e-do-alam hai tera hi ai dost teri wahdat ke muqir kafir-o-din-dar hain sab ek bhi baat na dil le ke nibahenge huzur ye zabani hi faqat aap ke iqrar hain sab be-zabani se hain majbur nahin sun lete qail is aabla-pai ke mere khar hain sab na pado fikr-e-dahan-o-kamar-e-yar mein tum koi waqif nahin ye ghaib ke asrar hain sab us mein taus-e-chaman ko hui ya kabk-e-dari ai pari-zad tere kushta-e-raftar hain sab barish-e-girya ke hai sath hawa aankhon ki khana-e-dil ki kharabi ke ye aasar hain sab qais-o-farhad ko sauda tha tera ishq na tha tere diwana-e-jaan-bakhta hoshiyar hain sab yahi insaf tere ahd mein hai ai shah-e-husn wajib-ul-qatl mohabbat ke gunahgar hain sab un buton se nahin ummid khuda-tarsi ki rahm dil un mein nahin ek sitamgar hain sab baat kis tarah dam-e-shikwa ho sarsabz apni ek apna nahin wan un ke taraf-dar hain sab kuchh unhen qadr nahin naqd-e-dil-e-ashiq ki hasinan-e-jahan zar ke talabgar hain sab kis tawaqqo pe koi bagh-o-makan banwae qabr mein ek na kaam aaega bekar hain sab un dil-awaron ke altaf par ai dil tu na bhul ranj kal denge yahi aaj jo gham-khwar hain sab fikr-e-iza mein meri kuchh nahin tanha wahi shokh naz-o-andaz-o-ada aur pae aazar hain sab chida mashuqon ke ausaf kiye hain mauzun muntakhab karne ke qabil mere ashaar hain sab tujh sa khush-waza khush-andaz na dekha ab tak yun to mashuq zamane ke tarah-dar hain sab bhule hain gardish-e-mina-e-falak ka nairang ahl-e-zar jitne hain mast-e-mai-e-pindar hain sab dosti kar ke 'qalaq' un se bahut pachhtata dushman-e-jaan mere khuban-e-jafa-kar hain sab