aariz mein tumhaare kya safa hai munh aaina apna dekhta hai dumbaala jo surme ka bana hai ye tegh-e-nigah ka par tula hai bimar jo teri chashm ka hai nargis pe kab aankh dalta hai do lakh fareb-e-hazrat-e-ishq banda na kahega but khuda hai sab kahte hain jis ko mah-e-kaamil naqsha kaf-e-pa-e-yar ka hai gardish mein hai chashm zer-e-abru kya nimcha charkh par chadha hai mara hai dikha ke dast-e-rangin shahid mere khun ki hina hai phir aae bahaar phir ho wahshat dil roz duaen mangta hai kanton se ye kah rahi hai laila majnun mera barahna-pa hai joban pe hain ab to anar-e-pistan nakhl-e-qad-e-yar kya phala hai be-wajh jo phir gae ho phir jao bande ka bhi ai buto khuda hai jo chaho karo ki tum ho mukhtar majbur hun zor kya mera hai karti nahin kyun safar meri ruh kya band adam ka rasta hai rone mein hain yaad dant us ke har ku har ashk be-baha hai wasf us ka 'qalaq' ho kis zaban se wo but ek qudrat-e-khuda hai