aashiq hai jo tumhaare rukh-e-surkh-rang ka rahta hai us ko nashsha sharab-e-farang ka kahte hain log dekh tere rukh pe khal ko kya hukm rome mein hai sipahdar zang ka ai rashk-e-hur wusat-e-jannat mein bhi mujhe tujh bin hai be-guman yaqin gor-e-tang ka jab se patang hun main tere shama-ru ka yar malum tha na tujh ko udana patang ka khauf-e-khuda na hota to rakhta main ai sanam arsh-e-azim nam tumhaare palang ka ai sabz-rang mast-e-mai-e-ishq-o-husn to afyun ko puchhte nahin kya zikr bhang ka khal-e-rukh-e-nigar hain chehre khayal mein bini dikhai de hai donali tufang ka matam mera hai yar siwa hum ko bazm-e-nur saut-e-buka se kam nahin aawaz chang ka aatish ka sher padhta hun aksar ba-hasb-e-haal dil said hai wo bahr-e-sukhan ke nahang ka wo chashm ghat mein dil-e-pur-dagh ke nahin aahu ko hai irada shikar-e-palang ka namus ka to fikr hai 'matam' abas yahan ye ishq khasm nam ka dushman hai nang ka