khayal aaya to ro padega bas ek fasana hua karenge agar hum ek martaba uthe to kahan tujhe phir mila karenge sawal hum par utha karenge hum aise mazlum kya karenge har ek dar par jhuka karenge sabhi buton ko khuda karenge ye khushk nazren jinhen zamana ujad sahra samajh raha hai kabhi nazar bhar ke dekho in mein kai samundar dikha karenge hamare sine ki aag hai jis ki raushni mein tu chal raha hai tujhe khabar bhi na ho sakegi tere hi andar jiya karenge na jaane kaisi ye tishnagi hai jahan na thi ret bhi mayassar wahin pe dariya sa kuchh dikha hai usi ki jaanib chala karenge wo zindagi jo kabhi hamari thi aur ab meri bhi nahin hai use basar kis qadar hai karna milo kabhi mashwara karenge kai marasim hain tujh se pyare mohabbaten bhi adawaten bhi tujhi ko kosa karenge aksar tere hi haq mein dua karenge