aashiq hue the jo kahin ruswa nahin hun main main mar gaya hun aap pe zinda nahin hun main kya be-khudi mein khidmat-e-mai-khana ho sake pir-e-mughan se talib-e-sahba nahin hun main saqi hanse hai kya mujhe do-tin de ke jam pi kar khum-e-sharab hi bahka nahin hun main kya ghat ke laghari se haqiqat mein badh gaya nazron mein jo kisi ki samata nahin hun main 'arif' mere kalam ko insaf kar ke dekh fann-e-sukhan mein ham-sar-e-‘sauda’ nahin hun main