asar kiya hai ye ai aah-e-na-rasa kaisa wo mujh pe raat ko ulta hua khafa kaisa jo pochhiye to hai ek rang ka asar ye bhi hamare rone pe wo rashk-e-gul hansa kaisa buton ko dun jo main har baat par khuda ki qasam ye kya samajhte hain yaro ki hai khuda kaisa wo din gae jo mukhatib zara wo hote the ab un se nama-o-paigham ai saba kaisa saqim-haal tha kuchh sham tak to ai 'arif' wo raat ko nahin malum hai raha kaisa