aashiq hun main nafrat hai mere rang ko ru se paiwand nahin chaak gareban ko rafu se daman mere qatil ka na rangin ho lahu se har-chand ki nazdik ho rag-ha-e-gulu se gulzar-e-jahan par na padi aankh hamari kotah thi umr apni habab-e-lab-e-ju se karta hai wo saffak khat-e-shauq ke purze mehndi mali jati hai kabutar ke lahu se aashiq hun magar karte hain mashuq khushamad nazuk hai tabiat meri bimar ki khu se