aarif hai wo jo husn ka juya jahan mein hai bahar nahin hai yusuf isi karwan mein hai piri mein shughl-e-mai hai jawanana roz-o-shab bu-e-bahaar aati hamari khizan mein hai hota hai gul ke sunghe se duna girafta dil mujh sa bhi bad-dimagh kam is bostan mein hai pusht-e-khamida dekh ke hota hun nara-zan karta hun sarf-e-tir jo zor is kaman mein hai dikhla rahi hai dil ki safa do-jahan ki sair kya aaina laga hua apne makan mein hai diwana jo na ishq se ho aadmi nahin husn-e-pari ka jalwa tilism-e-jahan mein hai parwanon ki tarah hai hujum-e-qadah-kashan raushan charagh-e-baada jo mugh ki dukan mein hai us dilruba ke kuche mein aage hawa se jae itni to jaan ab bhi tan-e-na-tawan mein hai duniya se kuch karna hai ek roz rahrawo bang-e-jaras se shor yahi karwan mein hai padh sakta sarnawisht ka matlab koi nahin malum kuchh nahin ki ye khat kis zaban mein hai aainda-o-rawinda ki chalti hain thokaren jada jo apna tha usi khwab-e-giran mein hai kushte hain bagh mein bhi teri tegh-e-naz ke bu-e-shahid lala mein aur arghawan mein hai aashiq ke rang-e-zard ko dekho to hans pado tasir us mein bhi hai wo jo zafaran mein hai madum wo kamar hai na mauhum wo dahan kahte hain shaer un ke jo kuchh kuchh guman mein hai gul tutte hain hote hain bulbul asir-e-dam sayyaad mustaid madad-e-baghban mein hai sarkash ki manzilat hai subuk pesh-e-khaksar wo tamkanat zamin ki kahan aasman mein hai sumbul se haal-e-gul hun main ye kah ke puchhta kis silsile mein tu hai ye kis khandan mein hai dil mein khayal-e-gesu-e-mushkin hai bad bala ye murgh-e-ruh ke liye sanp aashiyan mein hai hikmat se hai ye khak ka putla bana hua nur aankh mein hai us ke to maghz ustukhan mein hai 'atish' buland-paya hai dargah yar ki haftum falak ki rifat isi aastan mein hai