aashiq kahen hain jinko wo be-nang log hain

aashiq kahen hain jin ko wo be-nang log hain
mashuq jin ka nam hai wo sang log hain

kis tarah kasbiyon se rakhe koi ji bacha
sab jaante hain in ko ye sarhang log hain

majnun tu ja ke dasht mein fariyaad kar ki aae
nale se tere shahr ke dil-tang log hain

aalam ke sufiyon ke koi kya samajh se
har rang se juda hain ye be-rang log hain

hum to na lal-e-lab ka tere bosa le sake
rakhte hain ye khayal jo be-dhang log hain

utra hai kaun aab mein ye jis ke husn se
hairan khade hue ba-lab-e-gang log hain

mere lughat-e-sher ke aalam ko 'mushafi'
samjhen hain wo jo sahib-e-farhang log hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close