hatao aaina ummid-war hum bhi hain tumhaare dekhne walon mein yar hum bhi hain tadap ke ruh ye kahti hai hijr-e-jaanan mein ki tere sath dil-e-be-qarar hum bhi hain rahe dimagh agar aasman pe dur nahin ki tere kuche mein mast-e-ghubar hum bhi hain kaho ki nakhl-e-chaman hum se sar-kashi na karen unhin ki tarah se bagh-o-bahaar hum bhi hain hamare aage zara ho samajh ke zamzama-sanj ki ek naghma-sara ai hazar hum bhi hain kahan tak aaine mein dekh-bhaal idhar dekho ki ek nigah ke ummid-war hum bhi hain sharab munh se lagate nahin hain ai zahid firaq-e-yar mein parhez-gar hum bhi hain hamara nam bhi likh lo jo hai qalam jari qadim aap ke khidmat-guzar hum bhi hain huma hain gird meri haddiyon ke aath pahr sag aa ke kahte hain ummid-war hum bhi hain jo ladkhada ke gire tu qadam pe saqi ke 'amir' mast nahin hoshyar hum bhi hain