aashiq ki bhi katti hain kya khub tarah raaten do-chaar ghadi rona do-chaar ghadi baaten qurban hun mujhe jis dam yaad aati hain wo baaten kya din wo mubarak the kya khub thin wo raaten auron se chhute dilbar dil-dar howe mera bar-haq hain agar pairaw kuchh tum mein karamaten kal lad gain kuche mein aankhon se meri aankhiyan kuchh zor hi aapas mein do do huin samghaten kashmir si jagah mein na-shukr na rah zahid jannat mein tu ai gidi mare hai ye kyun laten is ishq ke kuche mein zahid tu sambhal chalna kuchh pesh na jawengi yan teri munajaten us roz miyan mil kar nazron ko churaate the tujh yaad mein hi sajan karte hain madaraaten 'sauda' ko agar puchho ahwal hai ye us ka do-chaar ghadi rona do-chaar ghadi baaten