roz jo marta hai is ko aadmi likkho kabhi tirgi ke bab mein bhi raushni likkho kabhi sans lena bhi muqaddar mein nahin jis ahd mein baith kar us ahd ki bhi an-kahi likkho kabhi dard-e-dil dard-e-jigar ki dastan likkhi bahut nan-e-khushk-o-ab-e-kam ko zindagi likkho kabhi maslahat par bhi kabhi hote rahe qurban usul in usulon ko bhi un ki dil-lagi likkho kabhi gar samete ja rahe ho kaam jo karne ke the us ko 'rahat' saaton ki aagahi likkho kabhi