aashiq samajh rahe hain mujhe dil lagi se aap

aashiq samajh rahe hain mujhe dil lagi se aap
waqif nahin abhi mere dil ki lagi se aap

dil bhi kabhi mila ke mile hain kisi se aap
milne ko roz milte hain yun to sabhi se aap

sab ko jawab degi nazar hasb-e-muddaa
sun lije sab ki baat na kije kisi se aap

marna mera ilaj to be-shak hai soch lun
ye dosti se kahte hain ya dushmani se aap

hoga juda ye hath na gardan se wasl mein
darta hun ud na jaen kahin nazuki se aap

zahid khuda gawah hai hote falak par aaj
lete khuda ka nam agar aashiqi se aap

ab ghurne se faeda bazm-e-raqib mein
dil par chhuri to pher chuke be-rukhi se aap

dushman ka zikr kya hai jawab us ka dijiye
raste mein kal mile the kisi aadmi se aap

shohrat hai mujh se husn ki is ka mujhe hai rashk
hote hain mustafiz meri zindagi se aap

dil to nahin kisi ka tujhe todte hain hum
pahle chaman mein puchh len itna kali se aap

main bewafa hun ghair nihayat wafa shiar
mera salam lije milen ab usi se aap

aadhi to intizar hi mein shab guzar gai
us par ye turra so bhi rahenge abhi se aap

badla ye rup aap ne kya bazm-e-ghair mein
ab tak meri nigah mein hain ajnabi se aap

parde mein dosti ke sitam kis qadar hue
main kya bataun puchhiye ye apne ji se aap

ai shaikh aadmi ke bhi darje hain mukhtalif
insan hain zarur magar wajibi se aap

mujh se salah li na ijazat talab hui
be-wajh ruth baithe hain apni khushi se aap

'bekhud' yahi to umr hai aish o nashat ki
dil mein na apne tauba ki thanen abhi se aap


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close