apne aansu hain tumhaare nahin ro sakta main aaj aankhon se sitare nahin ro sakta main ek taklif ka dariya hai badan mein lekin baith kar is ke kinare nahin ro sakta main main hun majzub mere dil ki haqiqat hai alag lakh hote hon khasare nahin ro sakta main jism hai ruh ki hiddat mein pighalne wala hun sharabor sharare nahin ro sakta main main tamasha hun tamashai hain chaaron jaanib sharm hai sharm ke mare nahin ro sakta main bad-guman hone laga hai ye tayaqqun ka jahan mujh ko afsos hai pyare nahin ro sakta main zarre zarre mein qayamat ka saman hai 'sahil' ek hi dil ke sahaare nahin ro sakta main