aashiqi kya har bashar ka kaam hai

aashiqi kya har bashar ka kaam hai
mere dil mere jigar ka kaam hai

ho hari shakh-e-tamanna ya na ho
sinch dena chashm-e-tar ka kaam hai

badh chale paik-e-tasawwur ka qadam
ab yahan kya nama-bar ka kaam hai

dil mera le jaane wala kaun tha
ye kisi jadu-nazar ka kaam hai

hum se kya ho wasf qatil ka bayan
ye lab-e-zakhm-e-jigar ka kaam hai

maut jab aae to rahi jaan ho
is safar mein rahbar ka kaam hai

faisla hone mein dushwari hai kya
tere khanjar mere sar ka kaam hai

aaj aansu tum ne ponchhe bhi to kya
ye to apna umr bhar ka kaam hai

gul dikhate hain hamein kya zakhm-e-tan
dil pe khana koi charka kaam hai

dil se lae lab pe hum aah-o-fughan
ab tujhe lana asar ka kaam hai

dar-ba-dar phirte hi guzri charkh ko
ye usi bedad-gar ka kaam hai

aankhon aankhon mein uda lete hain dil
dilrubai bhi nazar ka kaam hai

tegh kyun chalne mein bal khane lagi
ye teri nazuk kamar ka kaam hai

sine se kuchh hat ke hai dil ki jagah
is jagah tirchhi nazar ka kaam hai

be-chale hi panw dete hain jawab
manzil-e-ulfat mein sar ka kaam hai

qudsiyon se kaun bazi le gaya
ye bashar hai ye bashar ka kaam hai

motiyon se munh tera bharna 'jalil'
aasif-e-ali-guhar ka kaam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close