dhima dhima dard suhana hum ko achchha lagta tha

dhima dhima dard suhana hum ko achchha lagta tha
dukhte ji ko aur dukhana hum ko achchha lagta tha

zakhm ko apne phul samajhna moti kahna ashkon ko
ishq ka karobar sajaana hum ko achchha lagta tha

din din bhar aawara phirna ek hamari aadat thi
raat gae ghar lut ke aana hum ko achchha lagta tha

baith ke yaron ki mahfil mein pite rahna der talak
apne-ap ko bhul hi jaana hum ko achchha lagta tha

chup chup rahna aahen bharna kuchh na kahna logon se
tanha tanha ashk bahana hum ko achchha lagta tha

shakh se tute sukhe patte tez hawa ke shanon par
shahron shahron khak udana hum ko achchha lagta tha

shahr-e-gham ki ek udasi dil mein har-dam rahti thi
diwaron se sar takrana hum ko achchha lagta tha

gul-badanon ko takte rahna baaten karna khushbu ki
nigah-e-gul ka qarz chukana hum ko achchha lagta tha

nashsha-e-gham ki sarshaari bhi kam to nahin thi phir bhi 'adib'
talkhi-e-mai mein zahr milana hum ko achchha lagta tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close