aashiqi mein khamushi mumkin hai na-mumkin nahin kya karun mujh se to zabt-e-iltija mumkin nahin talib-e-azar ishq aur husn aasaish-pasand tu bhi ho mera sharik-e-muddaa mumkin nahin main jo mit jaun to badlun rang-o-bu ka pairahan aalam-e-ijad mein meri fana mumkin nahin har jagah jalwe tere meri nazar ke sath hain main pukarun tu na ho jalwa-numa mumkin nahin sazish-e-dariya-o-sahil se to mumkin hai magar mujh ko ye maujen dubo den na-khuda mumkin nahin jis nazar ko mere dard-e-dil ka bhi irfan na ho wo nazar ho jae aalam-ashna mumkin nahin