aashiqon ke sair karne ka jahan hi aur hai un ke aalam ka zamin o aasman hi aur hai puchhta phirta hai kya har ek se un ka suragh la-makan hain un ko rahne ka makan hi aur hai aazmaish in ki wazon ka tujhe hai ga zarar ye wo firqa hai ki in ka imtihan hi aur hai kya kharidega kharab-abaad ke bazar mein dard ki ho jins jis mein wo dukan hi aur hai sang o gul ka tauf ho tujh ko mubarak hajiyo hazrat-e-dil ke haram ka karwan hi aur hai baithne ko shakh-e-tuba par nahin kartin nigah is chaman ki bulbulon ka aashiyan hi aur hai us ko kya nisbat kisi afsana-o-qisse ke sath ishq ke daftar ki 'hatim' dastan hi aur hai