nae rishton se tu dil ka makan aabaad karta hai khabar bhi hai tujhe ek shakhs tujh ko yaad karta hai na jaane kyun ziden aisi dil-e-nashad karta hai jise main bhulna chahun usi ko yaad karta hai mahak teri tujhe taslim karwa le to kafi hai ai mere phul tu rangon ko kyon barbaad karta hai badalta hai meri zanjir pinjra bhi badalta hai magar aazad kab mujh ko mera sayyaad karta hai parinda bhul baitha khud hi jab parwaz ke mana karam-farma bata ab kyon use aazad karta hai muqarrar hai khizan ka ek din har haal mein 'nikhat' bhala gul-dan mein ye phul kyon fariyaad karta hai