aashiqon ko ai falak dewega tu aazar kya dushman-e-jaan un ka thoda hai dil-e-bimar kya rashk aawe kyun na mujh ko dekhna us ki taraf taktaki bandhe hue hai rauzan-e-diwar kya aah ne to khema-e-gardun ko phunka dekhen ab rang late hain hamare dida-e-khun-bar kya murgh-e-dil ke waste ai ham-safiro kam hai kyun kuchh qaza ke tir se tir-e-nigah-e-yar kya chal ke mai-khane hi mein ab dil ko bahlao zara 'aish' yan baithe hue karte ho tum begar kya