agar wo khud hi bichhad jaane ki dua karega to us se badh ke mere sath koi kya karega suna hai aaj wo marham pe chot rakkhega mujhi se mujh ko bhulane ka mashwara karega taras rahi hain ye aankhen us ek manzar ko jahan se laut ke aane ka dukh hua karega agar ye phul hai meri bala se murjhae agar ye zakhm hai malik use hara karega main jaanti hun ki jitna khafa bhi ho jae wo mere shahr mein aaya to rabta karega main us se aur mohabbat se pesh aaungi jo mere haq mein koi 'aisha' bura karega