aashiyan par karam-e-barq-e-tapan hai ab bhi

aashiyan par karam-e-barq-e-tapan hai ab bhi
dekho gulshan ki fazaon mein dhuan hai ab bhi

ham-safiran-e-chaman tum ko mubarak ho bahaar
hum asiron ke muqaddar mein khizan hai ab bhi

daur hai sang-e-hawadis ka magar kya kahiye
dil mein ek kar-gah-e-shisha-garan hai ab bhi

ab na wo dil hai na wo dil ki tamanna lekin
chashm-e-jaanan meri jaanib nigaran hai ab bhi

hum ne kyun ek tabassum ki tamanna ki thi
aankh us jurm pe khunaba-fashan hai ab bhi

rahnumai ka ye jadu koi dekhe 'maikash'
gard-e-rah par hamein manzil ka guman hai ab bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close