bharam khulne na pae bandagi ka wo matam kar rahe hain zindagi ka tajjub hai khulus-e-dostan par nahin gham dushmanon ki dushmani ka bhadak uthti hai dil mein aatish-e-gham khayal aata hai jab un ki gali ka abhi hai band aankh insaniyat ki abhi dam ghut raha hai aadmi ka tumhaari yaad ne ki rahnumai khayal aaya mujhe jab be-khudi ka lagi dil ki ho alfaz-o-bayan mein yahi ek khas fan hai shairi ka wahi dushman bane baithe hain 'maikash' jo dam bharte the apni dosti ka