aashiyan ujda mera to kya hua gham to is ka hai chaman sahra hua tha kuchh aisa hi taqaza ishq ka hum ne dekha apna ghar lutta hua tha kabhi dil ek shahr-e-arzu rafta rafta yas ka sahra hua zarra zarra hai dil-e-betab sa ek jahan hai dard ka mara hua kya khabar thi hoga manzil ka charagh ek musafir rasta bhatka hua zabt-e-dil ka hausla to dekhiye gham ka dariya hai abhi thahra hua aaine ko dekh kar sharma gae aap ko shayad mera dhoka hua apni ruswai se main khush hun 'nazir' gham to ye hai un ka gham ruswa hua